ab kahan jaunga uth kar main yahin rahne de
vahshat-e-khana-badoshi tu kahin rahne de
ho gai shaah ko ab maat ki main kahta raha
are rahne de piyade ko vahin rahne de
le ke ja sakta hai tu sar se mira charkh-e-kuhan
par mire pairon tale meri zamin rahne de
tark-e-hijrat ka irada bhi to kar sakta hai
kaun thahrega yahan dil ke makin rahne de
kaj-kulahi na mujhe takht-nashini se gharaz
sar-basar khaak huun aur khak-nashin rahne de
ham ki darvesh hain aur ishq se matlab hai hamen
husn ko apni jagah chin-ba-jabin rahne de
ishq phir aur pari-zad se ahmad-‘irfan’
dev patthar ka bana de na kahin rahne de
Leave a Reply