kya kya dilon ka ḳhauf chhupana paḌa hamen
ḳhud Dar ga.e to sab ko Darana paḌa hamen
ik dusre se bach ke nikalna muhal tha
ik dusre ko raund ke jaana paḌa hamen
apne diye ko chand batane ke vaste
basti ka har charagh bujhana paḌa hamen
vahshi hava ne aise barahna kiye badan
apna lahu libas banana paḌa hamen
zeli hikayaton men sabhi log kho ga.e
qissa tamam phir se sunana paḌa hamen
‘ali’ ana pe sanehe kya kya guzar ga.e
kis kis ki samt haath baḌhana paḌa hamen
Leave a Reply