rang la.egi iltija meri
sun hi lega kabhi ḳhuda meri
zabt-e-gham ko dua.en deta huun
rah ga.i ghuT ke har sada meri
us ki banda-navaziyan dekho
baḳhsh deta hai har ḳhata meri
sunne valon ke dil taḌap uTThe
saz-e-gham ban ga.i sada meri
vasl mumkin nahin visal sahi
ab to kuchh aur hai dua meri
be-saharon ka aasra tu hai
kaun sunta tire siva meri
ye mashiyyat ke raaz hain ‘shankar’
ibtida meri intiha meri
Leave a Reply