ba-chaman ab vo kiya chahe hai mai-nosh guzar
jald ai paik-e-saba gul ke ye kar gosh-guzar
nahin maalum kahan jaate hain juun nashsha-e-mai
jidhar in rozon men ham karte hain madhosh guzar
bazm men mujh ko jo dekha to ye jhunjhla ke kaha
aisi mahfil men kare hai miri pa-posh guzar
sar-nigun kucha-e-rusvai men hain aaj talak
sau kharabi se jo is dar pe kiya dosh guzar
ashiq us parda-nashin ke hain ki gar samne se
kabhi guzre hai to karta hai vo ru-posh guzar
chand roza hai ye mai-khana-e-hasti yaan to
umr ghaflat men na ai be-khirad-o-hosh guzar
aa phansa ishva-o-andaz-o-ada men yuun dil
rahzanon men kare juun rah-faramosh guzar
ham-safar hain to ye hasrat hai ki kiije koson
ik savari men hue us se ham-aghosh guzar
qadr-dan koi sukhan ka na raha ai ‘jurat’
kunj-e-tanhai men auqat tu khamosh guzar
Leave a Reply