• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Dil Se Na Wahi Aur Hain Manzar Na Hamin Aur

Dil Se Na Wahi Aur Hain Manzar Na Hamin Aur

dil se na vahi aur hain ‘manzar’ na hamin aur

ye vaqt hai jo ham hain kahin aur vo kahin aur

hans kar nahin ab ruuTh ke ik baar nahin aur

ghussa karo ghussa karo ban jaao hasin aur

sab vahm tha duniya thi falak tha na zamin aur

jab a.ina dekha to nazar aa.e hamin aur hamin aur

mera to salam us ko bahar-e-dar-e-janan

tujh se agar achchhi koi jannat hai kahin aur

iqrar se inkar ke andaz hain dilkash

tum yuun hi kahe jaao nahin aur nahin aur

va.adon men tire ho rahi hai jitni bhi taḳhir

hota chala jaata hai mujhe utna yaqin aur

malik mujhe rusva.i-e-mahshar se bacha le

dena hon jo de le vo saza.en bhi yahin aur

TuuTe na magar silsila-e-daur-e-mohabbat

mujh ko na pilao to piye jaao tumhin aur

ai lucknow ke phulo na ‘manzar’ ko satao

ghabra ke chala jaa.e na be-chara kahin aur

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Hai Gulu-Gir Bahut Raat Ki Pahnai Bhi

Shab KHumar-E-Husn-E-Saqi Hairat-E-Mai-KHana Tha

Koi khiDki Jo Khuli Rahti Hai

parveen-shakir

duty

aleena-itrat

Ajnabi Sa Ek Sitara Hun Main Sayyaron Ke Bich

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet