le chalo mujh ko us aina-e-rukhsar ke paas
khaak us ziist pe jo yaar na ho yaar ke paas
nargis-e-chashm ka mat rakh dil-e-ranjur khayal
yaani bimar ko rakhte nahin bimar ke paas
sar mira tan se agar duur kiya sar sadqe
rakhiyo qatil to mujhe apni hi divar ke paas
chashm-e-mast us ki se akhir ko hoi ham bhi kharab
hai yahi us ki saza baithe jo mai-khvar ke paas
yuun khayal us ka sar-afraz kare hai ‘maruf’
shah qadam-ranja kare juun kasu nadar ke paas