• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke

Kya Kya Badal Gae Hain Andaz Aadmi Ke

kya kya badal ga.e hain andaz aadmi ke

paisa hi ab ḳhuda hai parde men bandagi ke

office men laTe aana pahchan afsaron ki

aur qisse chheḌte hain daftar men dil-lagi ke

rishvat ko haq samajh kar bharte hain jeb apni

har tarah kar rahe hain saman behtari ke

hain be-zamir phir bhi da.ava hai leaderi ka

ab vote mangte hain talib hain membari ke

bas naam rah gaya hai insaf ab kahan hai

haq apna kis se mangen mazlum is sadi ke

afsane nekiyon ke be-jan ho rahe hain

mansube ban rahe hain ab chaar su badi ke

kya inqalab aaya badli hava kuchh aisi

beTe bane minister imran mistiri ke

vaa.iz bhi aj-kal ke mai-ḳhvar ho ga.e hain

dete hain va.az ham ko aksar sharab pi ke

qismat se vo hamare hukkam ban ga.e hain

hote the roz charche jin ki sitamgari ke

banti thi pahle sabzi ghi ka baghar de kar

sabzi se ban rahe hain ab Dabbe roz ghi ke

vo kaun hai jo baḌh kar avaz-e-haq uTha.e

sab surma bane hain unvan-e-buzdili ke

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Mere Lab Tak Jo Na Aai Wo Dua Kaisi Thi

Baat Suraj Ki Koi Aaj Bani Hai Ki Nahin

mushafi-ghulam-hamdani

Ahl-E-dil Gar Jahan Se Uthta Hai

Har Aah Gham-E-Dil Ki Ghammaz Nahin Hoti

Sufi

Main Harf-e-Ibtida Hun

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet