Kya KHala Aasman Tha Pahle

kyā ḳhalā āsmān thā pahle

kis kī sūrat pe dhyān thā pahle

dil jo ab shor kartā rahtā hai

kis qadar be-zabān thā pahle

tū jise kārvāñ samajhtā hai

us pe merā nishān thā pahle

jis jagah raushnī Tapaktī hai

vaañ havā kā gumān thā pahle

chup sī kyuuñ lag ga.ī hai ‘khullar’ ko

kitnā jādū-bayān thā pahle

Leave a Comment