• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kya Kahen Tum Se Shab-E-Gham Hum Pe Kya Kya Ho Gaya

Kya Kahen Tum Se Shab-E-Gham Hum Pe Kya Kya Ho Gaya

poet

kya kahen tum se shab-e-gham ham pe kya kya ho gaya

dil pighal kar bah gaya paani kaleja ho gaya

zikr-e-chashm-e-mast se mera ḳharaba ho gaya

mai-kade tak bhi nahin pahuncha ki rusva ho gaya

mujib-e-ḳhiffat hai aalam men tajarrud-peshgi

main subuk-sar-e-mohabbat ho ke halka ho gaya

jalva-e-ahl-e-safa hai tira-baḳhton par vabal

din jahan nikla ki murgh-e-shappar andha ho gaya

arsh-e-a.azam par rahe kyunkar na majnun ka dimagh

lailat-ul-me.araj rang-e-zulf-e-laila ho gaya

ḳhvab men bhi hai tasavvur shoḳh-chashmon ka hamen

bistar-e-aram apna mirg-chhala ho gaya

in pari-zadon ke kuche men tamashe ki hai baat

jo tamasha dekhne aaya tamasha ho gaya

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Jaane Kab Kaun bichhaD Jae KHabar Ho Ki Na Ho

Chand Nikle Na Kahin Yar Purane Nikle

Kis Se Aazurda Mere Qatil Ka KHanjar Ho Gaya

Ek Ghar Apne Liye Tayyar Karna Hai Mujhe

Hansi Unki Gul Aur Chaman Jaante Hain

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet