kya jama-e-phul-kari us gul ki phaban ka tha
jo takhta-e-daman tha takhta vo chaman ka tha
ham aago hi samjhe the tum ghar ko sudharoge
juun subh gajar baaja matha vahin thanka tha
miina men na ho jalva vo bada-e-gul-gun ka
jaame men jo kuchh yaaro rang us ke badan ka tha
nargis ko kiya aisa bimar un ankhon ne
dhalka hi nazar aaya gardan ka jo manka tha
Leave a Reply