kya haqiqat men nahin the ye saza-var tire
kyuun shifa-yab na ho paa.e ye bimar tire
abr kya kya na inayat ke barse lekin
jan-ba-lab aaj bhi hain tishna-e-didar tire
hai sata.ish ki tamanna na sile ki parva
kis qadar sada-tabi.at hain parastar tire
tujh se karte hain taqaza tiri tasviron ka
ham haqiqat men agarche hain talabgar tire
mar gaya kya tira sha.er tira ‘kausar’-niyazi
suune suune se hain kyuun kucha o bazar tire
Leave a Reply