chaman men gul ne jo kal dava-e-jamal kiya
jamal-e-yar ne munh us ka khuub laal kiya
falak ne aah tiri rah men ham ko paida kar
ba-rang-e-sabza-e-nurasta paemal kiya
rahi thi dam ki kashakash gale men kuchh baaqi
so us ki tegh ne jhagda hi infisal kiya
miri ab ankhen nahin khultin zoaf se hamdam
na kah ki niind men hai tu ye kya khayal kiya
bahar-e-rafta phir aai tire tamashe ko
chaman ko yumn-e-qadam ne tire nihal kiya
javab-nama siyahi ka apni hai vo zulf
kisu ne hashr ko ham se agar saval kiya
laga na dil ko kahin kya suna nahin tu ne
jo kuchh ki ‘mir’ ka is ashiqi ne haal kiya
Leave a Reply