kya guman tha ki na hoga koi ham-sar apna
din Dhale saaya muqabil hua baḌh kar apna
ghar se nalan the magar dekhi hai duniya ham ne
hai agar koi aman-gah to bas ghar apna
dard pe kaisa sharar ban ke uTha pahlu men
ham to yuun ḳhush the ki dil kar liya patthar apna
rat-bhar koi na so.e to sune shor-e-fughan
chand ko dard sunata hai samundar apna
dukh uTha.e to bahut rang ḳhud apne dekhe
kam qayamat se na tha jo bhi tha manzar apna
roz-o-shab apne kisi se nahin milte hain ‘kamal’
ham to laa.e hain alag sab se muqaddar apna
Leave a Reply