kya banae sane-e-qudrat ne pyare haath paanv
nuur ke sanche men dhale hain tumhare haath paanv
zoaf-e-piri chha gaya zor-e-javani chal basa
ab chalen batlaiye kis ke sahare haath paanv
machhliyan baazu pe ubhrin saq-e-pa shamen banin
khuub sahab ne nikale ab to baare haath paanv
fauq hiire se nahin hai meri jaan yaqut ko
kyuun range hain aap ne mehndi se saare haath paanv
mani-o-bahzad ne mulk-e-adam ki raah li
vo kamar mutlaq na paai laakh maare haath paanv
ham na kahte the ki har dam shokhiyan achchhi nahin
akhirash mehndi ne bandhe lo tumhare haath paanv
hatha-pai men bhi ham chuke na apne kaam se
vasl ki shab yaar ne kya kya na maare haath paanv
hai zaifi men bhi ham ko naujavani ka khayal
dil nahin haara hai ab tak go ki haare haath paanv
ghair ki dhamki se ham dar jaaen ye mumkin nahin
aise buude bhi nahin hain kuchh hamare haath paanv
maadan-e-yaqut ko dariya banaya aap ne
mehndi mal kar dhoe jab dariya kinare haath paanv
is budhape men bhi ‘agha’ so javan men ek hai
go zaifi aa gai par hain karare haath paanv
Leave a Reply