kuja hasti bata de tu kahan hai
jise kahte hain bismil nim-jan hai
hamara ghar hai yaani khana-e-mast
mahal hi kaakh hai koshak makan hai
chacha am hai pisar beta pidar baap
to kumba khanuman-o-dudaman hai
safina naav kashti baan mallah
bahe paani to vo ab-e-ravan hai
batao aag kya hai nar-o-atish
dhuan kya chiiz hai do-dud-o-khan hai
jise kahte ho tum gardun-e-gardan
falak charkh-o-siphar-o-asman hai
vahi jannat ki jis ki aarzu hai
naim-o-khuld-o-firdaus-o-jinan hai
suna kijiye hikayat hai kahani
kaha kijiye fasana dastan hai
mira sar raas hai matha jabin hai
mire munh men zaban hai jo lisan hai
kaho tum jo tarazu hai so mizan
suno tum azmaish imtihan hai
hajar patthar hai aur qirtas kaghaz
subuk halka hai aur bhari giran hai
asa lathi alam neza sinan bhaal
jise ham qaus kahte hain kaman hai
nihan-o-musatatar poshida makhfi
jo bariz hai to zahir hai ayaan hai
agar jaano ho tum revad ko galla
to charvaha bhi raai aur shaban hai
kaha karte hain shair ko sukhan-dan
jo bhedi hai to mahram razdan hai
humanja amdam jaae ki hasti
vahin aaya huun main bhi tu jahan hai
yahi kaun-o-makan duniya hai aalam
ye hi geti hi gihan hai jahan hai
Leave a Reply