hausle kya us but-e-be-jan ke
saare jhagde hain dil-e-nadan ke
naaz hai kis baat par insan ko
kis tarah chalta hai siina taan ke
khet jal-thal kar diye sailab ne
mar gae arman sab dahqan ke
de rahe hain maat ab shaitan ko
karname hazrat-e-insan ke
chhup-chhupa ke vaar ham karte nahin
ham khiladi hain khule maidan ke
jab se badli hain nigahen yaar ne
pad gae hain laale ‘afzal’ jaan ke
Leave a Reply