gham se mansub karun dard ka rishta de duun
zindagi aa tujhe jiine ka saliqa de duun
be-charagi ye tiri sham-e-ghariban kab tak
chal tujhe jalte makanon ka ujala de duun
zindagi ab to yahi shakl hai samjhaute ki
duur haT ja.un tiri raah se rasta de duun
tishnagi tujh ko bujhana mujhe manzur nahin
varna qatre ki hai kya baat main dariya de duun
li hai angḌa.i to phir haath uTha kar rakhiye
Thahariye main use lafzon ka labada de duun
ai mire fan tujhe takmil ko pahunchana hai
aa tujhe ḳhuun ka main aḳhiri qatra de duun
suraj aa jaa.e kisi din jo mere haath ‘ali’
ghonT duun raat ka dam sab ko ujala de duun
Leave a Reply