ai yaas jo tu dil men aai sab kuchh hua par kuchh bhi na hua
yaan ho gai khana-virani aur tera zarar kuchh bhi na hua
tha qasd ki un ko rokengi shab guzri inhin andeshon men
par hae-re nakami dil ki hangam-e-sahar kuchh bhi na hua
ehsan tira mujh par hota gar ruuh ko karta tan se juda
jab jaan bachi furqat ki shab ai dard-e-jigar kuchh bhi na hua
ai kaash vo baten ki hotin jo vahshat-e-dil ko kam kartin
itna jo baka to ai naseh mujh ko to asar kuchh bhi na hua
ab chahiye aisi fikr tujhe jis se ki nazare ki thahre
har vaqt ke rone se hasil ai dida-e-tar kuchh bhi na hua
dil aur jigar jaan aur ye sar ham shauq se laae paas tire
qismat ka gila ab kis se karen manzur-e-nazar kuchh bhi na hua
ya us se javab-e-khat laana ya qasid itna kah dena
bachne ka nahin bimar tira irshad agar kuchh bhi na hua
dhun vasl ki tujh par ghalib hai tu aish-o-tarab ka talib hai
kya lutf ‘haqir’ is ulfat ka betab agar kuchh bhi na hua
Leave a Reply