kuchh us ko yaad karun us ka intizar karun
bahut sukut hai main khud ko be-qarar karun
bharun main rang nae muzmahil tamanna men
udaas raat ko asuda-e-bahar karun
kuchh aur chaah badhaun kuchh aur dard sahun
jo mujh se duur hai yuun us ko ham-kanar karun
vafa ke naam pe kya kya jafaen hoti rahin
main har libas-e-jafa aaj taar taar karun
vo meri raah men kante bichhae main lekin
usi ko pyaar karun us pe e’tibar karun
ye mere khvab miri zindagi ka sarmaya
na kyuun ye khvab bhi main aaj nazr-e-yar karun
Leave a Reply