Kuchh Nazare Hain Kuchh Nazar Baqi

kuchh nazāre haiñ kuchh nazar baaqī

aur kuchh kos kā safar baaqī

rah gayā hai kitāb meñ din kī

shaam kā bāb-e-muḳhtasar baaqī

is ḳhizāñ meñ bhī kuchh mahaktā hai

dil hai baaqī abhī jigar baaqī

ḳhaak hī ḳhaak huuñ magar chhū mat

ishq kā hai abhī sharar baaqī

vaqt-e-ruḳhsat palaT ke barsī jo

hai nigāhoñ meñ vo nazar baaqī

dhul ga.ī thī jo tere ashkoñ se

ḳhat meñ vo hī hai ik satar baaqī

kasmasāte haiñ paañv ke chhāle

hai abhī bhī koī safar baaqī

Leave a Comment