kar ga.e ashk miri aankh ko jal-thal kya kya
ab ke barsa hai tiri yaad ka badal kya kya
jis taraf dekhiye ik qaus-e-quzah hai raqsan
rang bharta hai faza men tira anchal kya kya
tu to chup-chap tha lekin tujhe ma.alum nahin
kah gaya meri nazar se tira kajal kya kya
shahr-e-saffak ki be-dard guzargahon men
jagmagate hain charagh-e-sar-e-maqtal kya kya
kis liye jaa.en bhala dasht ko ham divane
shahr hi bante chale jaate hain jangal kya kya
ab bhi har moḌ pe ik tishna-labi hai ‘betab’
yuun to is shahr pe barsa kiye badal kya kiya
Leave a Reply