kuchh mohtasibon ki khalvat men kuchh vaaiz ke ghar jaati hai
ham bada-kashon ke hisse ki ab jaam men kam-tar jaati hai
yuun arz-o-talab se kam ai dil patthar dil paani hote hain
tum laakh raza ki khu daalo kab khu-e-sitamgar jaati hai
bedad-garon ki basti hai yaan daad kahan khairat kahan
sar phodti phirti hai nadan fariyad jo dar dar jaati hai
haan jaan ke ziyan ki ham ko bhi tashvish hai lekin kya kiije
har rah jo udhar ko jaati hai maqtal se guzar kar jaati hai
ab kucha-e-dil-bar ka rah-rau rahzan bhi bane to baat bane
pahre se adu talte hi nahin aur raat barabar jaati hai
ham ahl-e-qafas tanha bhi nahin har roz nasim-e-subh-e-vatan
yadon se moattar aati hai ashkon se munavvar jaati hai
Leave a Reply