kuchh khaar hi nahin mire daman ke yaar hain
gardan men tauq bhi to ladakpan ke yaar hain
siina ho kushtagan-e-mohabbat ka ya gala
donon ye tere khanjar-e-ahan ke yaar hain
khatir hamari karta hai dair-o-haram men kaun
ham to na shaikh ke na barahman ke yaar hain
kya puchhta hai mujh se nishan sail-o-barq ka
donon qadim se mire khirman ke yaar hain
kya garm hain ki kahte hain khuban-e-lucknow
london ko jaaen vo jo firangan ke yaar hain
vo dushmani karen to karen ikhtiyar hai
ham to adu ke dost hain dushman ke yaar hain
kuchh is chaman men sabza-e-begana ham nahin
nargis ke dost lala-o-sausan ke yaar hain
kante hain jitne vadi-e-ghurbat ke ai junun
sab astin ke jeb ke daman ke yaar hain
gum-gashtagi men raah batata hai ham ko kaun
hai khizr jin ka naam vo rahzan ke yaar hain
chalte hain shauq-e-barq-e-tajalli men kya hai khauf
chite tamam vadi-e-aiman ke yaar hain
piiri mujhe chhudati hai ahbab se ‘amir’
dandan nahin ye mere ladakpan ke yaar hain
Leave a Reply