kaun kahta hai Thahar jaana hai
rang chaḌhna hai utar jaana hai
zindagi se rahi sohbat barson
jaate jaate hi asar jaana hai
TuTne ko hain sada.en meri
ḳhamushi tujh ko bikhar jaana hai
ḳhvab naddi sa guzar ja.ega
dasht ankhon men Thahar jaana hai
koi din ham bhi na yaad a.enge
aḳhirash tu bhi bisar jaana hai
koi dariya na samundar na sarab
tishnagi bol kidhar jaana hai
laghzishen ja.engi jaate jaate
nashsha maana ki utar jaana hai
naqsha chhoḌa hai hava ne koi
kaun si samt safar jaana hai
zindagi se hain pasheman ham bhi
kal ye da.ava tha ki mar jaana hai
Leave a Reply