kuchh kam nahin hain shama se dil ki lagan men ham
fanus men vo jalti hai yaan pairahan men ham
hain tufta-jan mufaraqat-e-gul-badan men ham
aisa na ho ki aag laga den chaman men ham
gum honge bu-e-zulf-e-shikan-dar-shikan men ham
qabza karenge chiin ko le kar khutan men ham
gar ye hi chhed dast-e-junun ki rahi to bas
mar kar bhi siina chaak karenge kafan men ham
mahv-e-khayal-e-zulf-e-butan umr bhar rahe
mashhur kyuun na hon kaho divana-pan men ham
honge aziiz khalq ki nazron men dekhna
gir kar bhi apne yaar ke chah-e-zaqan men ham
chhakke hi chhut jaenge ghairon ke dekhna
aa nikle haan kabhi jo tiri anjuman men ham
ai andalib dava-e-behuda par kahin
ek aadh gul ka munh na masal den chaman men ham
ashiq hue hain parda-nashin par bas is liye
rakhte hain soz-e-ishq nihan jaan o tan men ham
zalim ki sach masal hai ki rassi daraz hai
misdaq us ka paate hain charkh-e-kuhan men ham
anqa ka ‘aish’ naam to hai go nishan nahin
yaan vo bhi kho chuke hain talash-e-dahan men ham
Leave a Reply