kis shai pe yahan vaqt ka saaya nahin hota
ik khvab-e-mohabbat hai ki budha nahin hota
vo vaqt bhi aata hai jab ankhon men hamari
phirti hain vo shaklen jinhen dekha nahin hota
barish vo barasti hai ki bhar jaate hain jal-thal
dekho to kahin abr ka tukda nahin hota
ghir jaata hai dil dard ki har band gali men
chaho ki nikal jaaen to rasta nahin hota
yadon pe bhi jam jaati hai jab gard-e-zamana
milta hai vo paigham ki pahuncha nahin hota
tanhai men karni to hai ik baat kisi se
lekin vo kisi vaqt akela nahin hota
kya us se gila kijiye barbadi-e-dil ka
ham se bhi to izhar-e-tamanna nahin hota
Leave a Reply