kahne se na mana kar kahunga
tu meri na sun magar kahunga
tum aap hi aae yuun hi sach hai
naale ko na be-asar kahunga
gar kuchh bhi sunenge vo shab-e-vasl
kya kya na men ta-sahar kahunga
kahte hain jo chahte hain dushman
main aur tumhen fitna-gar kahunga
kahte to ye ho ki tu hai achchha
manoge bura agar kahunga
yuun dekh ke mujh ko muskurana
phir tum ko main be-khabar kahunga
ik baat likhi hai kya hi main ne
tujh se to na nama-bar kahunga
kab tum to kahoge mujh se puchho
main bais-e-dard-e-sar kahunga
tujh se hi chhupaunga gham apna
tujh se hi kahunga gar kahunga
maalum hai mujh ko jo kahoge
main tum se bhi pesh-tar kahunga
hairat se kuchh un se kah sakunga
bhulunga ka idhar udhar kahunga
kuchh dard-e-jigar ka hoga baais
kyuun tujh se main chara-gar kahunga
ab hal-e-‘nizam’ kuchh na puchho
gham hoga tumhen bhi gar kahunga
Leave a Reply