tai kiya is tarah safar tanha
ek ham ek rahguzar tanha
kaun hota rafiq-e-tira-shabi
dil jalaya hai ta-sahar tanha
ḳhairiyat puchhne ko aa.i hai
zindagi mujh ko dekh kar tanha
afat-e-jan hai vaz-e-ham-safari
vaqt ki raah se guzar tanha
dhaḌkanon ka bhi hai ajab andaz
dil ki vaadi hai kis qadar tanha
na mila dard-ashna koi
kaT gaya dard ka safar tanha
dasht men apni hi tajalli ke
jhilmilaya kiya qamar tanha
sa.aten deti hi rahin avaz
zindagi chal paḌi kidhar tanha
qatl-gah-e-vafa mili ḳhali
‘hurmat’ aa.e hamin nazar tanha
Leave a Reply