main ne jab jab bhi tira naam likha kaghaz par
yuun laga jaise koi phuul khila kaghaz par
ek muddat se mulaqat ko bechain hai dil
bhej de likh ke mujhe apna pata kaghaz par
ḳhat tira jab bhi koi main ne purana khola
to ubhar aaya hasin naqsh tira kaghaz par
likhne baiTha huun tire naam koi ḳhat jab bhi
aankh se ashk gira sabt hua kaghaz par
chara-gar aa ki siva dard-e-jigar hota hai
bhej de likh ke mujhe varna dava kaghaz par
tujh ko iz.har-e-mohabbat ki qasam itna bata
bevafa kyuun kiya iz.har-e-vafa kaghaz par
kya hai taqdir men allah ḳhabar rakhta hai
kaun paḌhta hai muqaddar ka likha kaghaz par
dad-o-tahsin ki kanon men sada.en gaunjin
jab bhi ‘gauhar’ ne koi sher kaha kaghaz par
Leave a Reply