hazar sahra the raste men yaar kya karta
jo chal paḌa tha to fikr-e-ghubar kya karta
kabhi jo Thiik se ḳhud ko samajh nahin paaya
vo dusron pe bhala e’tibar kya karta
chalo ye maana ki iz.har bhi zaruri hai
so ek baar kiya, baar baar kya karta
isi liye to dar-e-a.ina bhi va na kiya
jo so rahe hain unhen hoshiyar kya karta
vo apne ḳhvab ki tafsir ḳhud na kar paaya
jahan bhar pe use ashkar kya karta
agar vo karne pe aata to kuchh bhi kar jaata
ye soch mat ki akela sharar kya karta
siva.e ye ki vo apne bhi zaḳhm taaza kare
mire ghamon pe mira gham-gusar kya karta
bas ek phuul ki ḳhatir bahar mangi thi
ruton se varna main qaul-o-qarar kya karta
mira lahu hi kahani ka rang tha ‘javvad’
kahani-kar use rang-dar kya karta
Leave a Reply