• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Mizhgan Hain Ghazab Abru-E-KHamdar Ke Aage

Mizhgan Hain Ghazab Abru-E-KHamdar Ke Aage

mizhgan hain ghazab abru-e-ḳhamdar ke aage

ye tiir baras paḌte hain talvar ke aage

ḳhair us men hai vaa.iz ki kabhi mai ki mazammat

karna na kisi rind-e-ḳhush-atvar ke aage

kahna miri balin pe ki asar bure hain

karta hai ye baten koi bimar ke aage

shikve the bahut un se shikayat thi bahut kuchh

sab bhuul ga.e vasl ki shab pyaar ke aage

ḳhalvat men jo puchho to kahun dil ki haqiqat

mujh se na mira haal suno chaar ke aage

a.ina abhi dekh ke ḳhud-bin to vo ho len

ḳhud a.enge phir talib-e-didar ke aage

qarun ka ḳhazana ho ki hatim ki saḳhavat

sab kuchh hai magar kuchh nahin mai-ḳhvar ke aage

kya mujh ko Dara.engi tiri tez nigahen

ye aankh jhapakti nahin talvar ke aage

divanon men divane ‘hafiz’ aap hain varna

hushiyar se hushiyar hain hushiyar ke aage

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

poet

Na Ho Jis Ko Kisi Ka Gham Use Kahiye to Kya Kahiye

poet

Qafas Ko toD Ke Taza Hawa Mein sans Liya

Wo Aaya to Itna Pyar Dega

poet

Rah-E-Wafa Ke Har Ek Pech-O-Kham Ko Jaan Liya

rahat-indori

Raat Ki dhadkan Jab Tak Jari Rahti Hai

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet