Kuchh Bhi Nahin Hone Ki Uljhan Kuchh Bhi Nahin Hai Tum to Ho

kuchh bhī nahīñ hone kī uljhan kuchh bhī nahīñ hai tum to ho

ai mere dil dasht kī jogan kuchh bhī nahīñ hai tum to ho

tum se ek dhanak phūTegī aur kamre meñ bikhregī

dīvāroñ pe rañg na roġhan kuchh bhī nahīñ hai tum to ho

ik darpan jo Thiik mire dil hī ke andar khultā hai

dekh rahā huuñ maiñ vo darpan kuchh bhī nahīñ hai tum to ho

mere ḳhayāloñ kī duniyā meñ kuchh bhī nahīñ jānāñ lekin

kam nahīñ karnā apnī ban-Than kuchh bhī nahīñ hai tum to ho

Leave a Comment