• Skip to main content
  • Skip to secondary menu
  • Skip to primary sidebar
  • Skip to secondary sidebar
  • Contact
  • disclaimer
  • Privacy Policy
  • Terms of Use
Urdu Poet

Urdu Poet

Read the Classic Poetry

  • Ghazal
  • Nazm
  • Qita
  • Short Stories
You are here: Home / Ghazal / Kuchh Bhi Kar Lijiye Wo Waza Badalne Ke Nahin

Kuchh Bhi Kar Lijiye Wo Waza Badalne Ke Nahin

kuchh bhi kar lijiye vo vaz.a badalne ke nahin

ya.ani ham karb-o-aziyyat se nikalne ke nahin

ham bhale kucha-e-viran men akele bhaTken

is zamane ki ravish par kabhi chalne ke nahin

aa.ina hai hamen jab tak tiri ḳhandan surat

ham kisi ranj ki tasvir men Dhalne ke nahin

haan kabhi soz-e-darun un ko ghula de shayad

varna nalon se hamare vo pighalne ke nahin

ho chuke ḳhaak jo jal kar vo patange ai sham.a

dusri baar tire sho.ale se jalne ke nahin

sehn-e-dil men jo laga.e the tamanna ke shajar

aisa lagta hai vo imsal bhi phalne ke nahin

jab talak manzil-e-ulfat pe nazar hai ‘kashif’

paanv apne kisi Tiile se phisalne ke nahin

Filed Under: Ghazal Tagged With: Urdu Poet

Reader Interactions

Leave a Reply Cancel reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *

Primary Sidebar

Poet Type

  • Classic Poet
  • Sufi Poet
  • Top Rated Poet
  • Women Poets
  • Young Poets

Popular Ghazal

Lai Na Saba Bu-E-Chaman Ab Ke Baras Bhi

geetanjali-rai

Nadi

Dil-E-Ranjur Se Likha Usne

Zabt-E-Nawak-E-Gham Se Baat Ban to Sakti Hai

Baat Mein Kuchh Magar Bayan Mein Kuchh

Secondary Sidebar

Famous Poet

  • Adil Mansuri
  • Ahmad Faraz
  • Ahmad Nadeem Qasmi
  • Akbar Allahabadi
  • Akhtar Shirani
  • Akhtar-ul-Iman
  • Ali Sardar Jafri
  • Allama Iqbal
  • Ameer Minai
  • Asrarul Haq Majaz
  • Bahadur Shah Zafar
  • Bashar Nawaz
  • Bashir Badr
  • Dagh Dehlvi
  • Etibar Sajid
  • Faiz Ahmad Faiz
  • Firaq Gorakhpuri
  • Hasrat Mohani
  • Jaun Eliya
  • Jigar Moradabadi
  • Kaifi Azmi
  • Khumar Barabankavi
  • Majrooh Sultanpuri
  • Meer Taqi Meer
  • Mirza Ghalib
  • Muneer Niyazi
  • Nasir Kazmi
  • Nida Fazli
  • Pirzada Qasim
  • Qateel Shifai
  • Sahir Ludhianvi
  • Saleem Kausar
  • Shakeel Badayuni
  • Shahryar
  • Waseem Barelvi
  • Zafar Iqbal

Copyright © 2023 · Urdu Poet