simaTne ki havas kya thi bikharna kis liye hai
vo jiina kis ki ḳhatir tha ye marna kis liye hai
mohabbat bhi hai aur apna taqaza bhi nahin kuchh
ham us se saaf kah denge mukarna kis liye hai
jhijhakna hai to us ke samne hona hi kaisa
jo Darna hai to dariya men utarna kis liye hai
masafat ḳhvab hai to ḳhvab men ab jagna kya
agar chal hi paḌe hain to Thaharna kis liye hai
na karne se bhi hota ho jahan sab ka guzara
vahan aḳhir kisi ne kaam karna kis liye hai
agar rukna nahin us ne hamare paas to phir
hamare raste par se guzarna kis liye hai
vo kah dega to uTh ja.enge us ki bazm se ham
munasib hi nahin lagta pasarna kis liye hai
‘zafar’ us par asar to koi hota hai na hoga
to phir ye roz ka banna sanvarna kis liye hai
Leave a Reply