bad-e-saba ye zulm ḳhuda-ra na kijiyo
is bevafa se zikr hamara na kijiyo
gham ki kami nahin hai jahan-e-ḳharab men
ai dil taras taras ke guzara na kijiyo
ai sahab-e-uruj tu bam-e-uruj se
suraj ke Dubne ka nazara na kijiyo
aisa na ho ki log hamen pujne lagen
itna bhi ehtiram hamara na kijiyo
sahil agar nasib bhi ho jaa.e ai ‘hafiz’
tufan se bhuul kar bhi kinara na kijiyo
Leave a Reply