kuchh bhi ayaan nihan na tha koi zaman makan na tha
der thi ik nigah ki phir ye jahan jahan na tha
saaz vo qatre qatre men soz vo zarre zarre men
yaad tiri kise na thi dard tira kahan na tha
ishq ki azmaishen aur fazaon men huiin
paanv tale zamin na thi sar pe ye asman na tha
ishq harim-e-husn men apne sahare rah gaya
sabr ka bhi pata na tha hosh ka bhi nishan na tha
ek ko ek ki khabar manzil-e-ishq men na thi
koi bhi ahl-e-karvan shamil-e-karvan na tha
ishq ne apni jaan ko rog kai laga liye
hijr-o-visal umid-o-bim kaun bala-e-jan na tha
khalvatiyan-e-raz se hal-e-visal-e-yar puchh
husn bhi be-naqab tha ishq bhi darmiyan na tha
daur-e-hayat mahz tha is ke harim-e-raz men
kaif-o-asar ka zikr kya ziist ka bhi nishan na tha
shikva-e-dar-guzar kyuun hai ki husn ishq se
itna to bad-guman na tha itna to sar-garan na tha
Leave a Reply