dushman ko zad par aa jaane do dashna mil ja.ega
zindanon ko toḌ nikalne ka rasta mil ja.ega
shah-savar ke kaT jaane ka dukh to hamen bhi hai lekin
tum parcham thame rakhna salar-e-sipah mil ja.ega
hamen ḳhabar thi shahr-e-panah par khaḌi sipah munafiq hai
hamen yaqin tha naqab-zanon se ye dasta mil ja.ega
soch-kaman salamat rakhni hogi tir-andaz bahut
kaun hadaf hai aur kahan hai us ka pata mil ja.ega
bas tum jabr ki choTi sar karne ka ahd javan rakhna
us tak jaane vaale raston ka naqsha mil ja.ega
hasan-‘raza’ uTh aur qadam avaz-e-jaras par rakh varna
shaah ka sar laane tujh sa koi divana mil ja.ega
Leave a Reply