sabhi to hain magar ab mehrban kahan hai koi
nazar men pyaar liye darmiyan kahan hai koi
ik apna sar hi nahin dil bhi main jhuka dunga
magar batao zara astan kahan hai koi
sitamgari ki haden us ne toḌ Daali hain
hamari tarah magar be-zaban kahan hai koi
kabhi to puure shajar par tha apna kashana
hamare naam ka ab ashiyan kahan hai koi
tumhari apni hi kashti Dubo na de tum ko
hava hai tez magar badban kahan hai koi
hamare paanv tale ki zamin khinchte ho
hamare ba.ad tumhara jahan kahan hai koi
karoge ghaur to ‘anjum’ samajh men aa.ega
zamin hai charon taraf asman kahan hai koi
Leave a Reply