kucha-ha-e-dil-o-jan ki tira-shabo aas marti nahin
aḳhiri saans bharte sitaro suno aas marti nahin
chashm-e-giryan zara tham bhi ja ashk men dil bhi bah ja.ega
sabr sahra-e-vahshat ke matam-garo aas marti nahin
dard uThne se dil ke sharare kahan bujh sake hain kabhi
laakh raushan nigahon men ḳhuun la bharo aas marti nahin
vali-e-shahr naghmon ka qatil baja par hamen gham hai kya
fikr zinda ho jab tak mire sha.iro aas marti nahin
tum se pahle bhi ḳhvabon ki gardan uḌane baḌe aa.e the
sar kaTe ḳhvab chilla uThe dosto aas marti nahin
raakh bin jal bujhe par ye dil se dhuan ab bhi uThta hai kyuun
aankh men dekhne ki sakat ho na ho aas marti nahin
Leave a Reply