ku-e-qatil hai magar jaane ko ji chahe hai
ab to kuchh faisla kar jaane ko ji chahe hai
log apne dar-o-divar se hoshiyar rahen
aaj divane ka ghar jaane ko ji chahe hai
dard aisa hai ki ji chahe hai zinda rahiye
zindagi aisi ki mar jaane ko ji chahe hai
dil ko zaḳhmon ke siva kuchh na diya phulon ne
ab to kanTon men utar jaane ko ji chahe hai
chhanv va.adon ki hai bas dhoka hi dhoka ai dil
mat Thahar garche Thahar jaane ko ji chahe hai
zindagi men hai vo uljhan ki pareshan ho kar
zulf ki tarah bikhar jaane ko ji chahe hai
qatl karne ki ada bhi hasin qatil bhi hasin
na bhi marna ho to mar jaane ko ji chahe hai
ji ye chahe hai ki puchhun kabhi un zulfon se
kya tumhara bhi sanvar jaane ko ji chahe hai
rasan-o-dar idhar kakul-o-ruḳhsar udhar
dil bata tera kidhar jaane ko ji chahe hai
Leave a Reply