koshish-e-paiham ko sai-e-raegan kahte raho
ham chale ab tum hamari dastan kahte raho
guftani baten sahi naguftani baten sahi
chup na baiTho koi afsana yahan kahte raho
maslahat kya baat jo haq hi vo kah do barmala
laakh hon ahbab tum se bad-guman kahte raho
ham ki the azad azadi ki ḳhatir mar gae
jiine vaalo tum qafas ko ashiyan kahte raho
sirf kahne se zamin kya asman ho jaegi
kuchh nahin hoga zamin ko asman kahte raho
raah kya manzil hai kaisi har haqiqat hai fareb
karvan ko bhi ghubar-e-karvan kahte raho
kyuun karo ‘aḳhtar’ ki baten vo to ik divana hai
tum to yaaro apni apni dastan kahte raho
Leave a Reply