miTTi jab tak nam rahti hai
ḳhushbu taza-dam rahti hai
apni rau men mast o ghazal-ḳhvan
mauj-e-hava-e-gham rahti hai
un jhiil si gahri ankhon men
ik lahar si har dam rahti hai
har saaz juda kyuun hota hai
kyuun sangat baham rahti hai
kyuun angan TeḌha lagta hai
kyuun payal barham rahti hai
ab aise sarkash qamat par
kyuun tegh-e-mizha ḳham rahti hai
kyuun aap pareshan rahte hain
kyuun aankh ‘rasa’ nam rahti hai
Leave a Reply