abhi kam-sin hain malumat kitni
vo kitne aur un ki baat kitni
ye mere vaste hai baat kitni
vo kahte hain tiri auqat kitni
sahar tak haal kya hoga hamara
ḳhuda jaane abhi hai raat kitni
ye sar hai ye kaleja hai ye dil hai
vo lenge ḳhair se saughat kitni
tavajjoh se kabhi sun lo miri baat
jo tum chaho to ye hai baat kitni
tabi.at kyuun na apni muzmahil ho
rahi ye morid-e-afat kitni
gulistan fasl-e-gul men luT raha hai
hina aa.i tumhare haat kitni
hamare dil na dene par ḳhafa ho
luTate ho tumhin ḳhairat kitni
karo shukr-e-sitam un ke sitam par
ki itni baat bhi hai baat kitni
jafa-o-qahr se vaqif na tha main
baḌhi ulfat men malumat kitni
jafa vaale hisab is ka laga len
vafa karta huun main din raat kitni
ibadat hazrat-e-zahid karun main
magar ai qibla-e-hajat kitni
nahin rukte hamare ashk ai ‘nuh’
ye tufan-ḳhez hai barsat kitni
Leave a Reply