koi surat se gar safa ho
aina-e-dil khuda-numa ho
masha-allah chashm-e-bad-dur
kya khuub javan-e-mah-laqa ho
munsif hon shaikh-o-gabr dil men
qissa chuk jaae faisla ho
dozakh ko bhi maat kar diya hai
ai sozish-e-dil tira bura ho
masnad kaisi faqir huun main
thodi si jagah ho boriya ho
kahte hain vo mere dekhne par
dekho koi na dekhta ho
maalum hain vaizon ki baten
us se kahen jo na janta ho
yaaro samjhao us sanam ko
kaise tum banda-e-khuda ho
gulchin mumkin hai phuul tode
bulbul naala bhi janta ho
kis se milta hai dekh ai dil
ghafil aisa na ho dagha ho
sun le kabhi mujh faqir ki bhi
allah kare tira bhala ho
ye haal hai naqd-e-dil ko kho kar
jaise koi luta hua ho
ulti ulti na kyuun hon baten
tedhi tedhi hai khafa khafa ho
banda bahar kabhi nahin hai
jab chahe ajal ka samna ho
allah kare nama-e-amal par
tera naqsha khincha hua ho
ai yaar kabhi to kaam aao
itni muddat ki ashna ho
abru se chashm se nigah se
aafat ho qahr ho bala ho
kab se ummid-o-bim men hain
jo kuchh hona ho ya khuda ho
kuchh rahm bhi hai khuda khuda kar
bande se sabr ta kuja ho
padhte ho ‘saba’ buton ka kalima
kahne ko banda-e-khuda ho
Leave a Reply