charagh-e-sham hi tanha nahin hai
hava main ne bhi ghar dekha nahin hai
vo badal hai magar is dasht-e-jan par
abhi dil khol kar barsa nahin hai
mohabbat ik hisar-e-be-nishan hai
lahu men daera banta nahin hai
bikharti ja rahi huun aur khush huun
simatne men koi sachcha nahin hai
khosha ai ru-e-shakh-e-sabz tujh par
sarab-e-aina khulta nahin hai
tujhe dekha hai jab se sham-aluda
miri ankhon men din utra nahin hai
main kyuun dekhun hujum-e-mahr-o-mah ko
miri tanhaiyon men kya nahin hai
nahin jaate hain dukh ab aa ke ghar se
ki ye aana tira aana nahin hai
bhatak jaengi raten jis ke hathon
abhi us khvab ka charcha nahin hai
zaban gum thi asar ke zaiqon men
tira mujrim lab-e-goya nahin hai
Leave a Reply