jism men ḳhvahish na thi ehsas men kanTa na tha
is tarah jaaga ki jaise rat-bhar soya na tha
ab yahi dukh hai hamin men thi kami us men na thi
us ko chaha tha magar apni tarah chaha na tha
jaane vaale vaqt ne dekha tha muḌ kar ek baar
go hamen pahchanta kam tha magar bhula na tha
ham bahut kaafi the apne vaste jaise bhi the
koi ham sa dost koi ham sa begana na tha
ajnabi rahen na jaane kis tarah avaz den
jab safar par chal paḌe the kis liye socha na tha
paanv ka chakkar liye phirta rahega dosto
aur phir sochoge apne shahr men kya kya na tha
ham bhi un raton men thali par diya rakh kar chale
jab shivale ki imarat ka koi dar va na tha
farz ki manzil ne meri gumrahi bhi chhin li
varna ‘ashk’ is rasti-basti raah men kya kya na tha
Leave a Reply