pahuncha hai jab se ishq ka mujh ko salam-e-khas
dil ke nagin pe tab se khudaya hai nam-e-khas
phule nahin samate ho jaama men misl-e-gul
pahuncha hai tum ko aaj kaso ka payam-e-khas
mai-khana men khudi ko nahin dakhl shaikh-ji
be-khudi hua hai jin ne piya hai vo jam-e-khas
phir gird us ke zauq se ai murgh-e-jan to sun
phir qasd baithne ka na kiijo hai nam-e-khas
kar qatl shauq se main tasadduq hua hua
sarkar nahin hai fikr jo hua intizar-e-khas
sab phansiyon se kar mujhe azad ai khuda
ta-roz-e-hasr huun men giraftar-e-dam-e-khas
us par nigah lutf ki ya-shah hai zarur
mash.hur hai jahan ye tera ghulam-e-khas
hujjab-e-bargah ko ye hukm ho rahe
manea na hoven mujh ko jo hua ehtimam-e-khas
manind-e-kohkan ke vo sar chiir mar gaya
jin ne suna hai ‘ishq’ vo shirin klam-e-khas
Leave a Reply