aaj aa.e hain kal jaana hai phir ishq ko rusva kaun kare
do-roza duniya hai ye to duniya ki tamanna kaun kare
majbur nahin muḳhtar sahi ḳhuddari ko rusva kaun kare
jab maut hi mange se na mili jiine ki tamanna kaun kare
us lazzat-e-gham ka kya kahna vo yaad to aate rahte hain
gham dene vaale ke sadqe ab gham ka mudava kaun kare
bar aa.e tamanna jab na koi phir aisi tamanna se hasil
go dil ka taqaza laakh sahi tauhin-e-tamanna kaun kare
honTon pe hansi ankhon men nami mathe pe shikan bal abru men
allah ri tarz-e-pursish-e-gham ab gham ka shikva kaun kare
maḳhmur faza mastana ghaTa saghar ki khanak ghunchon ki chaTak
ab aise mausam men saaqi andesha-e-farda kaun kare
kyon apne nasheman ko ḳhud hi ab aag laga den ham na ‘sa.id’
bijli ki shikayat kaun kare andhi ka shikva kaun kare
Leave a Reply