nasib-e-chashm men likkha hai gar paani nahin hona
to kya ye tai hai ab ranj-e-pashemani nahin hona
sakun se ja lagegi dil ki kashti apne sahil se
ki is barsat men dariya ko tufani nahin hona
sabhi kuchh tai-shuda ma.amuli jaisa hone vaala hai
kisi bhi vaqiye ko vaj.h-e-hairani nahin hona
junun men mumkina had tak rahega hosh bhi shamil
miri jaan be-zarurat kar-e-nadani nahin hona
hamin un ḳhush-nasibon men se hain, jin ke nasibon men
ḳhuda ne saaf likkha hai ”pareshani nahin hona”
Leave a Reply