koi samjhega kya raz-e-gulshan
jab tak uljhe na kanTon se daman
yak-ba-yak samne aa na jaana
ruk na jaa.e kahin dil ki dhaḌkan
gul to gul ḳhaar tak chun liye hain
phir bhi ḳhali hai gulchin ka daman
kitni ara.ish-e-ashiyana
TuuT jaa.e na shaḳh-e-nasheman
azmat-e-ashiyana baḌha di
barq ko dost samjhun ki dushman
un gulon se to kanTe hi achchhe
jin se hoti ho tauhin-e-gulshan
Leave a Reply